HAMKO NA RAAS AAYI BOTAL SHARAAB KI EIK QAWAALI
 
 Aapke saamne eik kalaam haazir hai Qawaali ke roop mein. If you hum it as a Qawaali I am sure you will enjoy it. It depicts another aspect of drinking when it goes out of control. Aapke comments ka intzaar rahega
 
 Hardev Ashk
 
 HAMKO NA RAAS AAYI BOTAL SHARAAB KI
 
 Hamko na raas aayi botal sharaab ki
 kyoN saaki hameiN pilaayee botal sharaab ki
 
 pahle to isne hameiN deewaana kar diya
 fir logoN se door lo apnoN se begaana kar diya
 ban gayi jag haNsaayi botal sharaab ki
 kyoN saaki hameiN pilaayee botal sharaab ki
 
 gam ka bahaana kabhi khushiyaaN bani Wajhaa
 itna piye ki dilo.o.jigar jalaa liyaa
 aisi thi ashnaayi botal sharaab ki
 kyoN saaki hameiN pilaayee botal sharaab ki
 
 jeeneiN ki hasratoN meiN peeneiN lage sabhi
 madhosh hokar bhi kaheiN "hosh hameiN abhi"
 har riNde ki logaayi botal sharaab ki
 kyoN saaki hameiN pilaayee botal sharaab ki
 
 `Ashk' tauba, tauba, tauba jo ki jiye
 Dushman ko dosti ka mauka na di jiye
 Kar na saki bhalaayi botal sharaab ki
 kyoN saaki hameiN pilaayee botal sharaab ki
 
 
Monday, May 2, 2011
[eBazm] Hamko na raas aayi botal sharaab ki - eik Qawaali
__._,_.___
                                                       Follow us on Facebook now. Search for eBazm and hit 'like'. :)             
             MARKETPLACE
            .
 __,_._,___
   
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment